pech gesu ke ta-kamar nikle
pech gesū ke tā-kamar nikle
ishq-e-be-par ke bāl-o-par nikle
husn par mar-miTe haiñ ahl-e-dil
aur ḳharīdār ahl-e-zar nikle
chāñd-tāroñ ke rāz-dāñ ab tak
dil ke aalam se be-ḳhabar nikle
raat meñ luT ke ġharq-e-hairat huuñ
rāhzan din ke rāhbar nikle
ahl-e-zar ke liye jo phuul bane
ahl-e-dil ke liye sharar nikle
tah-ba-tah chhā ga.ī hai tārīkī
kis tarah aañkh se nazar nikle
munjamid ho ga.ī hai zulmat-e-shab
mehr-sūrat koī qamar nikle
bujh rahe haiñ charāġh āḳhir-e-shab
jhuTpuTe se kahīñ sahar nikle
kaise samjhā.ūñ ahl-e-duniyā ko
koī mujh sā na be-hunar nikle
maiñ hī ġhairat kā vo janāza huuñ
jis ko lāzim hai umr-bhar nikle
pech gesu ke ta-kamar nikle
ishq-e-be-par ke baal-o-par nikle
husn par mar-miTe hain ahl-e-dil
aur KHaridar ahl-e-zar nikle
chand-taron ke raaz-dan ab tak
dil ke aalam se be-KHabar nikle
raat mein luT ke gharq-e-hairat hun
rahzan din ke rahbar nikle
ahl-e-zar ke liye jo phul bane
ahl-e-dil ke liye sharar nikle
tah-ba-tah chha gai hai tariki
kis tarah aankh se nazar nikle
munjamid ho gai hai zulmat-e-shab
mehr-surat koi qamar nikle
bujh rahe hain charagh aaKHir-e-shab
jhuTpuTe se kahin sahar nikle
kaise samjhaun ahl-e-duniya ko
koi mujh sa na be-hunar nikle
main hi ghairat ka wo janaza hun
jis ko lazim hai umr-bhar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.