peḌ beva ho ga.e aur pattiyāñ sab uḌ ga.iiñ
muskurāte mausamoñ kī dhajjiyāñ sab uḌ ga.iiñ
dafn jab se ho ga.ī haiñ azmateñ pahchān kī
chāhateñ haiñ ḳhushk rishtedāriyāñ sab uḌ ga.iiñ
bulbuloñ kā chahchahānā hai na khetoñ kī qatār
kyā lagā ke pañkh apnī bastiyāñ sab uḌ ga.iiñ
nafratoñ kī aañch ne jab chhū liyā hai āsmāñ
zindagī se aapsī hamdardiyāñ sab uḌ ga.iiñ
kal talak thī hukm-rānī tīrgī kī har taraf
raushnī aate hī ghar kī battiyāñ sab uḌ ga.iiñ
is qadar ūñchī huī haiñ ādamiyyat kī laveñ
āsmāñ kī samt hī parchhā.iyāñ sab uḌ ga.iiñ
har na.e din dhuup kī kirnoñ se mil kar kyoñ 'sabā'
nīm-bāz āñkhoñ se shab kī mastiyāñ sab uḌ ga.iiñ
peD bewa ho gae aur pattiyan sab uD gain
muskuraate mausamon ki dhajjiyan sab uD gain
dafn jab se ho gai hain azmaten pahchan ki
chahaten hain KHushk rishtedariyan sab uD gain
bulbulon ka chahchahana hai na kheton ki qatar
kya laga ke pankh apni bastiyan sab uD gain
nafraton ki aanch ne jab chhu liya hai aasman
zindagi se aapsi hamdardiyan sab uD gain
kal talak thi hukm-rani tirgi ki har taraf
raushni aate hi ghar ki battiyan sab uD gain
is qadar unchi hui hain aadamiyyat ki lawen
aasman ki samt hi parchhaiyan sab uD gain
har nae din dhup ki kirnon se mil kar kyon 'saba'
nim-baz aankhon se shab ki mastiyan sab uD gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.