peDon ki chhanw taza hawa chhin li gai
peḌoñ kī chhāñv taaza havā chhīn lī ga.ī
in bastiyoñ se in kī fazā chhīn lī ga.ī
un ke buland haath qalam kar diye ga.e
un ke laboñ se un kī du'ā chhīn lī ga.ī
be-ḳhadd-o-ḳhāl shor kā hissa banā diyā
aise sadā-e-ḳhalq-e-ḳhudā chhīn lī ga.ī
jiinā vo chāhte the to jiine nahīñ diyā
marne chale to un se qazā chhīn lī ga.ī
phir zālimoñ ne aag lagā dī ḳhiyām meñ
phir ‘auratoñ ke sar se ridā chhīn lī ga.ī
peDon ki chhanw taza hawa chhin li gai
in bastiyon se in ki faza chhin li gai
un ke buland hath qalam kar diye gae
un ke labon se un ki du'a chhin li gai
be-KHadd-o-KHal shor ka hissa bana diya
aise sada-e-KHalq-e-KHuda chhin li gai
jina wo chahte the to jine nahin diya
marne chale to un se qaza chhin li gai
phir zalimon ne aag laga di KHiyam mein
phir ‘auraton ke sar se rida chhin li gai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 89)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.