peDon se dhup pichhle-pahar ki phisal gai
peḌoñ se dhuup pichhle-pahar kī phisal ga.ī
sūraj ko ruḳhsatī kā ufuq se payām hai
phailā huā hai kamre meñ ehsās-e-be-hisī
ḳhāmoshiyoñ se be-suḳhanī ham-kalām hai
aahaT ho qufl khulne kī darvāza baaz ho
āñkhoñ ko ab yaqīñ hai ye ummīd-e-ḳhām hai
ye umr-e-sust-gām guzartī hai is tarah
har aan dil ko vaqt-shumārī se kaam hai
rahtī hai sirf us se tasavvur meñ guftugū
ārām-gāh-e-rūh meñ jis kā maqām hai
vo ham-safar jo chhoḌ ke aage chale ga.e
ai mauja-e-havā unheñ merā salām hai
har ik ko nā-guzīr huī dāvat-e-fanā
Thahrāv hai sahar ko na shab ko davām hai
haiñ an-kahe bahut se suḳhan-hā-e-guftanī
afsāna-e-hayāt sadā nā-tamām hai
din jā rahā hai jaise judā ho rahe haiñ dost
kaisī bujhī bujhī sī ye garmī kī shaam hai
peDon se dhup pichhle-pahar ki phisal gai
suraj ko ruKHsati ka ufuq se payam hai
phaila hua hai kamre mein ehsas-e-be-hisi
KHamoshiyon se be-suKHani ham-kalam hai
aahaT ho qufl khulne ki darwaza baz ho
aankhon ko ab yaqin hai ye ummid-e-KHam hai
ye umr-e-sust-gam guzarti hai is tarah
har aan dil ko waqt-shumari se kaam hai
rahti hai sirf us se tasawwur mein guftugu
aaram-gah-e-ruh mein jis ka maqam hai
wo ham-safar jo chhoD ke aage chale gae
ai mauja-e-hawa unhen mera salam hai
har ek ko na-guzir hui dawat-e-fana
Thahraw hai sahar ko na shab ko dawam hai
hain an-kahe bahut se suKHan-ha-e-guftani
afsana-e-hayat sada na-tamam hai
din ja raha hai jaise juda ho rahe hain dost
kaisi bujhi bujhi si ye garmi ki sham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.