pesh-e-nigah jab se wo mast-e-shabab hai
pesh-e-nigāh jab se vo mast-e-shabāb hai
har vaqt be-piye hī surūr-e-sharāb hai
kyā pūchhte ho 'ishq meñ kyā iztirāb hai
marnā agar muhāl to jiinā 'azāb hai
vo muntaḳhab hasīnoñ meñ ham ‘āshiqoñ meñ fard
un kī misāl hai na hamārā javāb hai
muddat ke baa'd aaj huī hai du'ā qubūl
muzhda ai shauq-e-dīd ki vo be-naqāb hai
mehmāñ-sarā-e-dahr meñ kis ko qiyām hai
jis ko bhī dekhiye vahī pā-dar-rikāb hai
sharmāte haiñ vo aa.ine meñ apnī shakl se
qurbān is hijāb ke achchhā hijāb hai
yā maiñ huuñ yā raqīb hai mahfil meñ aap kī
kis kī taraf ishāra hai kis se ḳhitāb hai
jaage haiñ bazm-e-ġhair meñ shāyad vo rāt-bhar
chehra bhī aaj sust hai āñkhoñ meñ ḳhvāb hai
fariyād merī sun ke vo bole raqīb se
shāyad ye vo hī 'hājir'-e-ḳhāna-ḳharāb hai
pesh-e-nigah jab se wo mast-e-shabab hai
har waqt be-piye hi surur-e-sharab hai
kya puchhte ho 'ishq mein kya iztirab hai
marna agar muhaal to jina 'azab hai
wo muntaKHab hasinon mein hum ‘ashiqon mein fard
un ki misal hai na hamara jawab hai
muddat ke ba'd aaj hui hai du'a qubul
muzhda ai shauq-e-did ki wo be-naqab hai
mehman-sara-e-dahr mein kis ko qiyam hai
jis ko bhi dekhiye wahi pa-dar-rikab hai
sharmate hain wo aaine mein apni shakl se
qurban is hijab ke achchha hijab hai
ya main hun ya raqib hai mahfil mein aap ki
kis ki taraf ishaara hai kis se KHitab hai
jage hain bazm-e-ghair mein shayad wo raat-bhar
chehra bhi aaj sust hai aankhon mein KHwab hai
fariyaad meri sun ke wo bole raqib se
shayad ye wo hi 'hajir'-e-KHana-KHarab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.