pesh har gam pe aafat kabhi aisi to na thi
pesh har gaam pe aafat kabhī aisī to na thī
‘arbada jo mirī qismat kabhī aisī to na thī
husn rusvā-e-zamāna kabhī aisā to na thā
'ishq ke naam pe tohmat kabhī aisī to na thī
apne saa.e se bhī aatā hai mujhe ḳhauf ab to
bad-gumānī kī ye sūrat kabhī aisī to na thī
fasl-e-gul meñ bhī hai pāmāl ḳhizāñ kī mānind
gulshan-e-zīst kī sūrat kabhī aisī to na thī
iḳhtilāfāt to the ahl-e-chaman meñ lekin
lāla-o-gul meñ 'adāvat kabhī aisī to na thī
pūjtā huuñ maiñ inheñ apne ḳhudāoñ kī tarah
in butoñ se mujhe nisbat kabhī aisī to na thī
us ke har 'aks se aatā hai mujhe ḳhauf 'jalīs'
aa.ine se mujhe vahshat kabhī aisī to na thī
pesh har gam pe aafat kabhi aisi to na thi
‘arbada jo meri qismat kabhi aisi to na thi
husn ruswa-e-zamana kabhi aisa to na tha
'ishq ke nam pe tohmat kabhi aisi to na thi
apne sae se bhi aata hai mujhe KHauf ab to
bad-gumani ki ye surat kabhi aisi to na thi
fasl-e-gul mein bhi hai pamal KHizan ki manind
gulshan-e-zist ki surat kabhi aisi to na thi
iKHtilafat to the ahl-e-chaman mein lekin
lala-o-gul mein 'adawat kabhi aisi to na thi
pujta hun main inhen apne KHudaon ki tarah
in buton se mujhe nisbat kabhi aisi to na thi
us ke har 'aks se aata hai mujhe KHauf 'jalis'
aaine se mujhe wahshat kabhi aisi to na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.