peshani-e-mohabbat jhuk jae jis zamin par
peshānī-e-mohabbat jhuk jaa.e jis zamīñ par
ka.abe kā zikr kyā hai bas ho ḳhudā vahīñ par
thā vahshī-e-adā kā naqsh-e-qadam yahīñ par
peshānī-e-malak phir jhuktī na kyoñ zamīñ par
ik umr marte jiite guzrī hai tere chalte
jab miT chalā tabassum bal aa chukā jabīñ par
aflāk par zamīñ hī bhārī rahī hamesha
bālā-e-arsh sājid masjūd thā zamīñ par
hoñ laakh hashr to bhī kam ho na us kī lazzat
donoñ jahān sadqe zālim tirī nahīñ par
rahtā hai yuuñ barābar bīm-o-rajā kā palla
pyārī hañsī laboñ par qātil shikan jabīñ par
mahshar se kyoñ maiñ pūchhūñ dil se na pūchh dekhūñ
sajde kā ye nishāñ hai yā daaġh hai jabīñ par
hoñ laakh hashr to bhī ghaTtī nahīñ kahīñ par
lazzat tirī nahīñ kī sadqe tirī nahīñ par
is gul ke aage dil ne jannat ko daaġh paayā
uf zaḳhm kī bahāreñ dīvāne kī jabīñ par
guzrī hai umr 'beḳhud' rote lahū ke aañsū
fard-e-amal kā dhokā ho kyoñ na āstīñ par
peshani-e-mohabbat jhuk jae jis zamin par
kabe ka zikr kya hai bas ho KHuda wahin par
tha wahshi-e-ada ka naqsh-e-qadam yahin par
peshani-e-malak phir jhukti na kyon zamin par
ek umr marte jite guzri hai tere chalte
jab miT chala tabassum bal aa chuka jabin par
aflak par zamin hi bhaari rahi hamesha
baala-e-arsh sajid masjud tha zamin par
hon lakh hashr to bhi kam ho na us ki lazzat
donon jahan sadqe zalim teri nahin par
rahta hai yun barabar bim-o-raja ka palla
pyari hansi labon par qatil shikan jabin par
mahshar se kyon main puchhun dil se na puchh dekhun
sajde ka ye nishan hai ya dagh hai jabin par
hon lakh hashr to bhi ghaTti nahin kahin par
lazzat teri nahin ki sadqe teri nahin par
is gul ke aage dil ne jannat ko dagh paya
uf zaKHm ki bahaaren diwane ki jabin par
guzri hai umr 'beKHud' rote lahu ke aansu
fard-e-amal ka dhoka ho kyon na aastin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.