peT ki aag bujhane ka sabab kar rahe hain
peT kī aag bujhāne kā sabab kar rahe haiñ
is zamāne ke ka.ī miir matab kar rahe haiñ
koī hamdard bhare shahr meñ baaqī ho to ho
is kaḌe vaqt meñ gumrāh to sab kar rahe haiñ
kahīñ ḳhatre meñ na paḌ jaa.e buzurgī apnī
log is ḳhauf se chhoToñ kā adab kar rahe haiñ
sab lifāfe kī husūlī ke liye ho rahā hai
ham jo ye shaġhl jo ye kār-e-adab kar rahe haiñ
har koī jaan hathelī pe liye phir rahā hai
in dinoñ vo lab-o-ruḳhsār ġhazab kar rahe haiñ
peT ki aag bujhane ka sabab kar rahe hain
is zamane ke kai mir matab kar rahe hain
koi hamdard bhare shahr mein baqi ho to ho
is kaDe waqt mein gumrah to sab kar rahe hain
kahin KHatre mein na paD jae buzurgi apni
log is KHauf se chhoTon ka adab kar rahe hain
sab lifafe ki husuli ke liye ho raha hai
hum jo ye shaghl jo ye kar-e-adab kar rahe hain
har koi jaan hatheli pe liye phir raha hai
in dinon wo lab-o-ruKHsar ghazab kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.