phaDakte honge shoale nafraton ke aashiyanon mein
phaḌakte hoñge sho.ale nafratoñ ke āshiyānoñ meñ
dhuāñ bhī uTh rahā hogā mohabbat kī fazāoñ meñ
havā kā ruḳh jo badlā thā to phir mausam bhī badlā thā
bahār aane ko aa.ī par kahāñ ḳhushbū thī phūloñ meñ
añdherī raat hai dasht-e-balā kī rahguzāroñ meñ
safar hai dard kā lekin diyā raushan hai āñkhoñ meñ
havas ke sāmne hai phir barahna raqs kā manzar
barahna ādamiyyat phir hai duniyā kī nigāhoñ meñ
havā.eñ tez-tar chalne lagī haiñ bādbāñ kholo
ki 'sālim' dil kī kashtī bah na jaa.e ġham kī maujoñ meñ
phaDakte honge shoale nafraton ke aashiyanon mein
dhuan bhi uTh raha hoga mohabbat ki fazaon mein
hawa ka ruKH jo badla tha to phir mausam bhi badla tha
bahaar aane ko aai par kahan KHushbu thi phulon mein
andheri raat hai dasht-e-bala ki rahguzaron mein
safar hai dard ka lekin diya raushan hai aankhon mein
hawas ke samne hai phir barahna raqs ka manzar
barahna aadamiyyat phir hai duniya ki nigahon mein
hawaen tez-tar chalne lagi hain baadban kholo
ki 'salim' dil ki kashti bah na jae gham ki maujon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.