phaila hua jo chaaron taraf intishaar hai
phailā huā jo chāroñ taraf intishār hai
aa.iin se hamārī siyāsat ko ‘aar hai
tārīḳh-sāz se koī ummīd kyā kare
vo bhī hukūmatoñ kī ravish kā shikār hai
yā-rab tirā nizām kahīñ ek sā nahīñ
koī hai shahryār koī ḳhāksār hai
bīnā.ī kaan naak zabāñ aur badan kā lams
insān in hī pāñch hisoñ kā shikār hai
qisse kahāniyoñ meñ to miltā hai sab magar
kal thā na aaj amn-o-musāvāt pyaar hai
ā.īn-o-'adliya pe bharosa kise hai ab
bulldozeroñ pe jab ki hukūmat savār hai
phaila hua jo chaaron taraf intishaar hai
aain se hamari siyasat ko ‘ar hai
tariKH-saz se koi ummid kya kare
wo bhi hukumaton ki rawish ka shikar hai
ya-rab tera nizam kahin ek sa nahin
koi hai shahryar koi KHaksar hai
binai kan nak zaban aur badan ka lams
insan in hi panch hison ka shikar hai
qisse kahaniyon mein to milta hai sab magar
kal tha na aaj amn-o-musawat pyar hai
aain-o-'adliya pe bharosa kise hai ab
bulldozeron pe jab ki hukumat sawar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.