phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui
phailā.e jab daam havas ne rasm-e-mohabbat aam huī
past huā me.aar vafā kā ik duniyā badnām huī
dil ne kaam liyā āñkhoñ se ḳhāmoshī paiġhām huī
jalvoñ kī kasrat ke aage tāb-e-nazar nākām huī
dekhe haiñ dastūr nirāle ham ne vādī-e-ulfat meñ
rāheñ jab āsān huiiñ to sa.ī-e-talab nākām huī
chaltī haiñ kis kī tadbīreñ khel haiñ sab taqdīroñ ke
shaam kisī kī sub.h meñ badlī sub.h kisī kī shaam huī
mahfil mahfil bāteñ niklīñ kyā kyā charche aam hue
terā adā-e-kam-āmezī kis had tak badnām huī
avval avval vahm-e-davā ne lutf-e-sukūñ barbād kiyā
āḳhir āḳhir dard kī daulat ulfat kā in.aam huī
mahv huā dīdār talab dil aisā un ke jalvoñ meñ
goyā mil kar bhī milne kī baat barā.e-nām huī
kyā jaane kyuuñ dil ne terī yaad kā dāman thaam liyā
majbūrī āġhāz huī jab nākāmī anjām huī
kyā kahiye kis kis kī nazar ne bad-zauqī ko aam kiyā
un kī nazroñ ke hote kyuuñ duniyā ġharq-e-jām huī
fikr-e-ġham-o-ālām 'rishī' hai goyā naam judā.ī kā
un kī mahfil meñ kab dil ko fikr-e-ġham-o-ālām huī
phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui
past hua mear wafa ka ek duniya badnam hui
dil ne kaam liya aankhon se KHamoshi paigham hui
jalwon ki kasrat ke aage tab-e-nazar nakaam hui
dekhe hain dastur nirale hum ne wadi-e-ulfat mein
rahen jab aasan huin to sai-e-talab nakaam hui
chalti hain kis ki tadbiren khel hain sab taqdiron ke
sham kisi ki subh mein badli subh kisi ki sham hui
mahfil mahfil baaten niklin kya kya charche aam hue
tera ada-e-kam-amezi kis had tak badnam hui
awwal awwal wahm-e-dawa ne lutf-e-sukun barbaad kiya
aaKHir aaKHir dard ki daulat ulfat ka inam hui
mahw hua didar talab dil aisa un ke jalwon mein
goya mil kar bhi milne ki baat barae-nam hui
kya jaane kyun dil ne teri yaad ka daman tham liya
majburi aaghaz hui jab nakaami anjam hui
kya kahiye kis kis ki nazar ne bad-zauqi ko aam kiya
un ki nazron ke hote kyun duniya gharq-e-jam hui
fikr-e-gham-o-alam 'rishi' hai goya nam judai ka
un ki mahfil mein kab dil ko fikr-e-gham-o-alam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.