phaili hai dhup jazba-e-isfar dekh kar
phailī hai dhuup jazba-e-isfār dekh kar
hargiz Thahar na sāya-e-ashjār dekh kar
chal aa vahīñ chaleñ ki jahāñ shor-o-shar na ho
tañg aa gayā huuñ garmī-e-bāzār dekh kar
afvāh vo uḌī thī ki maiñ kal bahut hañsā
rotā huuñ aaj sub.h kā aḳhbār dekh kar
aisā na ho ki qaum kā beḌā hī ġharq ho
taqrīr jhaaḌ qaum ke me.amār dekh kar
'jāmid' mirā vajūd hai malba banā huā
ik ḳhauf sar uThātā hai dīvār dekh kar
phaili hai dhup jazba-e-isfar dekh kar
hargiz Thahar na saya-e-ashjar dekh kar
chal aa wahin chalen ki jahan shor-o-shar na ho
tang aa gaya hun garmi-e-bazar dekh kar
afwah wo uDi thi ki main kal bahut hansa
rota hun aaj subh ka aKHbar dekh kar
aisa na ho ki qaum ka beDa hi gharq ho
taqrir jhaD qaum ke meamar dekh kar
'jamid' mera wajud hai malba bana hua
ek KHauf sar uThata hai diwar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.