phaili hain chaar su mere kyunkar udasiyan
phailī haiñ chaar sū mire kyūñkar udāsiyāñ
ik bahr-e-be-amāñ hai ye banjar udāsiyāñ
ḳhushiyoñ ke chaar pal bhī agar mil ga.e to kyā
rahtī haiñ merī zaat kā mehvar udāsiyāñ
us shoḳh ko ḳhabar do maiñ aisī nahīñ magar
jaane kyuuñ āj-kal haiñ ye dilbar udāsiyāñ
ḳhushiyoñ kī sarzamīn hameñ raas hī na thī
phir pā rahe haiñ ḳhud meñ ye kho kar udāsiyāñ
ik zabt thā ki dasht meñ koī jamā pahāḌ
kitnī subuk-ḳhirām haiñ ro kar udāsiyāñ
phaili hain chaar su mere kyunkar udasiyan
ek bahr-e-be-aman hai ye banjar udasiyan
KHushiyon ke chaar pal bhi agar mil gae to kya
rahti hain meri zat ka mehwar udasiyan
us shoKH ko KHabar do main aisi nahin magar
jaane kyun aaj-kal hain ye dilbar udasiyan
KHushiyon ki sarzamin hamein ras hi na thi
phir pa rahe hain KHud mein ye kho kar udasiyan
ek zabt tha ki dasht mein koi jama pahaD
kitni subuk-KHiram hain ro kar udasiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.