phaili hui hai sari dishaon mein raushni
phailī huī hai saarī dishāoñ meñ raushnī
lekin nahīñ charāġh kī chhāñv meñ raushnī
ab to panapne vaalī haiñ raushan-ḳhayāliyāñ
aa.ī na.ī na.ī mire gaañv meñ raushnī
ik haath dūsre ko sujhā.ī na de magar
ham ne chhupā rakhī hai ridāoñ meñ raushnī
dīn-o-m.āshīyāt-o-siyāsat ke peshvā
zehnoñ meñ tīrgī to adāoñ meñ raushnī
sab log mash.aloñ kī tamannā meñ ḳhaar the
garche paḌī thī apne hī paañv meñ raushnī
'zīshāñ' siyāhiyoñ ke numā.inda bhī haiñ ham
aur ham hī chāhte haiñ atāoñ meñ raushnī
phaili hui hai sari dishaon mein raushni
lekin nahin charagh ki chhanw mein raushni
ab to panapne wali hain raushan-KHayaliyan
aai nai nai mere ganw mein raushni
ek hath dusre ko sujhai na de magar
hum ne chhupa rakhi hai ridaon mein raushni
din-o-mashiyat-o-siyasat ke peshwa
zehnon mein tirgi to adaon mein raushni
sab log mashalon ki tamanna mein KHar the
garche paDi thi apne hi panw mein raushni
'zishan' siyahiyon ke numainda bhi hain hum
aur hum hi chahte hain ataon mein raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.