phaTa hua jo gareban dikhai deta hai
phaTā huā jo garebāñ dikhā.ī detā hai
kisī kā dard numāyāñ dikhā.ī detā hai
nikalnā chāhtā huuñ jism ke hisār se maiñ
ki apnā tan mujhe zindāñ dikhā.ī detā hai
sarā-e-dahr meñ Thahrā huā musāfir huuñ
ajiib be-sar-o-sāmāñ dikhā.ī detā hai
tire laboñ ke tabassum ko kis se duuñ tashbīh
ki ġhuncha bhī to pareshāñ dikhā.ī detā hai
har ek shaḳhs kisī ḳhauf kī giraft meñ hai
tamām shahr hirāsāñ dikhā.ī detā hai
jo ho sake to kabhī us kī ruuh meñ jhāñko
qabā pahan ke jo uryāñ dikhā.ī detā hai
ma.āsh aisī ki sunsān haiñ galī bāzār
bhaTaktā aisā ki insāñ dikhā.ī detā hai
phaTa hua jo gareban dikhai deta hai
kisi ka dard numayan dikhai deta hai
nikalna chahta hun jism ke hisar se main
ki apna tan mujhe zindan dikhai deta hai
sara-e-dahr mein Thahra hua musafir hun
ajib be-sar-o-saman dikhai deta hai
tere labon ke tabassum ko kis se dun tashbih
ki ghuncha bhi to pareshan dikhai deta hai
har ek shaKHs kisi KHauf ki giraft mein hai
tamam shahr hirasan dikhai deta hai
jo ho sake to kabhi us ki ruh mein jhanko
qaba pahan ke jo uryan dikhai deta hai
maash aisi ki sunsan hain gali bazar
bhaTakta aisa ki insan dikhai deta hai
- Book : Aur Savira Na Hua (Pg. 38)
- Author : Abid Wadood
- Publication : Multi Media Affairs (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.