phaTe-purane baste mein bhi nai kitaben raushan rakho
phaTe-purāne baste meñ bhī na.ī kitābeñ raushan rakho
āñkheñ suunī mat hone do surḳh lakīreñ raushan rakho
saa.at hai saa.at hī aate jaate haiñ qabīle yādoñ ke
maazī kī ḳhasta havelī meñ kuchh dahlīzeñ raushan rakho
dūr-andeshī jis meñ hogī raftār-e-zamāna us kī hai
ḳhvāb kī āḳhirī manzil aanī hai tā'bīreñ raushan rakho
be-hañgam sī āvāzoñ meñ shāyad ḳhāmoshī ne.amat ho
kuchh nahīñ sunñe kuchh nahīñ kahne kī tahzībeñ raushan rakho
phaTe-purane baste mein bhi nai kitaben raushan rakho
aankhen suni mat hone do surKH lakiren raushan rakho
saat hai saat hi aate jate hain qabile yaadon ke
mazi ki KHasta haweli mein kuchh dahlizen raushan rakho
dur-andeshi jis mein hogi raftar-e-zamana us ki hai
KHwab ki aaKHiri manzil aani hai ta'biren raushan rakho
be-hangam si aawazon mein shayad KHamoshi neamat ho
kuchh nahin sunne kuchh nahin kahne ki tahziben raushan rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.