phenk kar sare KHwab pani mein
pheñk kar saare ḳhvāb paanī meñ
dekhtā huuñ sarāb paanī meñ
vasl ke baad yuuñ lagā jaise
ho mirā iztirāb paanī meñ
us ne phir pheñk dī baġhair paḌhe
mere dil kī kitāb paanī meñ
koī is meñ milā gayā paanī
pheñk do ye sharāb paanī meñ
shaam ko le ke tere lab kī shafaq
aa gayā āftāb paanī meñ
be-qarārī se bahr kī 'aḳhtar'
aa gayā inqalāb paanī meñ
phenk kar sare KHwab pani mein
dekhta hun sarab pani mein
wasl ke baad yun laga jaise
ho mera iztirab pani mein
us ne phir phenk di baghair paDhe
mere dil ki kitab pani mein
koi is mein mila gaya pani
phenk do ye sharab pani mein
sham ko le ke tere lab ki shafaq
aa gaya aaftab pani mein
be-qarari se bahr ki 'aKHtar'
aa gaya inqalab pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.