phenka hua gul bhi tera patthar ka maza de
pheñkā huā gul bhī tirā patthar kā maza de
vo baat bhī kah Daal jo ḳhanjar kā maza de
dariyā ko khañgāl.ūñ bhī to kuchh haath na aa.e
ik ashk ko chakkhūñ to samundar kā maza de
luT jaa.e na bechāra musāfir to kare kyā
pardes kī har chiiz agar ghar kā maza de
phūloñ se bharī sej ko tū apne liye rakh
yogī huuñ mujhe kāñToñ ke bistar kā maza de
biThlā de kisī chaltī huī raah pe ik din
āñkhoñ ko dhaḌakte hue manzar kā maza de
uḌte hue gir jā.ūñ sañbhal jā.ūñ uḌuuñ phir
parvāz kabhī TuuTe hue par kā maza de
phir dekheñge ham bhī tirī īmāñ-talabī ko
ik baar to allāh tujhe zar kā maza de
ai kaash maiñ 'bāqar' kabhī vo she'r bhī likhkhūñ
ehsās ko jo zamzam-o-kausar kā maza de
phenka hua gul bhi tera patthar ka maza de
wo baat bhi kah Dal jo KHanjar ka maza de
dariya ko khangalun bhi to kuchh hath na aae
ek ashk ko chakkhun to samundar ka maza de
luT jae na bechaara musafir to kare kya
pardes ki har chiz agar ghar ka maza de
phulon se bhari sej ko tu apne liye rakh
yogi hun mujhe kanTon ke bistar ka maza de
biThla de kisi chalti hui rah pe ek din
aankhon ko dhaDakte hue manzar ka maza de
uDte hue gir jaun sanbhal jaun uDun phir
parwaz kabhi TuTe hue par ka maza de
phir dekhenge hum bhi teri iman-talabi ko
ek bar to allah tujhe zar ka maza de
ai kash main 'baqar' kabhi wo she'r bhi likhkhun
ehsas ko jo zamzam-o-kausar ka maza de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.