phenke hue sikkon ko uThaya nahin karte
phenke hue sikkon ko uThaya nahin karte
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
pheñke hue sikkoñ ko uThāyā nahīñ karte
ḳhud.dār kabhī zarf kā saudā nahīñ karte
kuchh kaam baḌe ham ne kiye hote jahāñ meñ
yādoñ se tirī roz jo uljhā nahīñ karte
afsāna sunāte haiñ baḌe shauq se ham bhī
'unvān magar sab ko batāyā nahīñ karte
ummīd lagī hotī hai aa jāoge tum bhī
be-vaj.h to ham bazm sajāyā nahīñ karte
har lamha use saath liye phirte haiñ lekin
sachchā.ī se ham aañkh milāyā nahīñ karte
achchhā hai 'na'īm' aap kā ye tarz-e-‘amal bhī
har shaḳhs ko jo dil meñ basāyā nahīñ karte
phenke hue sikkon ko uThaya nahin karte
KHuddar kabhi zarf ka sauda nahin karte
kuchh kaam baDe hum ne kiye hote jahan mein
yaadon se teri roz jo uljha nahin karte
afsana sunate hain baDe shauq se hum bhi
'unwan magar sab ko bataya nahin karte
ummid lagi hoti hai aa jaoge tum bhi
be-wajh to hum bazm sajaya nahin karte
har lamha use sath liye phirte hain lekin
sachchai se hum aankh milaya nahin karte
achchha hai 'na'im' aap ka ye tarz-e-‘amal bhi
har shaKHs ko jo dil mein basaya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.