phenki hai fath-yab ne dastar khinch kar
pheñkī hai fat.h-yāb ne dastār khīñch kar
pahle ye kaam hotā thā talvār khīñch kar
ajdād se sunā thā udhar apne log haiñ
ik roz chaah le ga.ī us paar khīñch kar
taqdīr merī man ke mutābiq nahīñ huī
dekhī hai ik lakīr ka.ī baar khīñch kar
yaad aa.egā tumheñ ye safar meñ ka.ī jagah
āñkhoñ meñ tum sameT lo ghar-bār khīñch kar
phenki hai fath-yab ne dastar khinch kar
pahle ye kaam hota tha talwar khinch kar
ajdad se suna tha udhar apne log hain
ek roz chah le gai us par khinch kar
taqdir meri man ke mutabiq nahin hui
dekhi hai ek lakir kai bar khinch kar
yaad aaega tumhein ye safar mein kai jagah
aankhon mein tum sameT lo ghar-bar khinch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.