pher kar aankh mere yar kahan jaoge
pher kar aañkh mire yaar kahāñ jāoge
dil tumhārā hai talabgār kahāñ jāoge
haiñ ḳhushī ke vahāñ kohsār kahāñ jāoge
chhoḌ kar ġham kā ye gulzār kahāñ jāoge
sun ke alfāz ye do-chār kahāñ jāoge
aur bhī haiñ ka.ī ash.ār kahāñ jāoge
kor-bīnoñ kā baserā hai vahāñ par ab bhī
le ke ā.īna mire yaar kahāñ jāoge
is ḳharābe meñ bhī ulfat ke nishāñ milte haiñ
dhund hī dhund hai us paar kahāñ jāoge
ġhāza-e-ishq hai taqdīr-e-havas par ai 'qamar'
toḌ kar zabt kī dīvār kahāñ jāoge
pher kar aankh mere yar kahan jaoge
dil tumhaara hai talabgar kahan jaoge
hain KHushi ke wahan kohsar kahan jaoge
chhoD kar gham ka ye gulzar kahan jaoge
sun ke alfaz ye do-chaar kahan jaoge
aur bhi hain kai ashaar kahan jaoge
kor-binon ka basera hai wahan par ab bhi
le ke aaina mere yar kahan jaoge
is KHarabe mein bhi ulfat ke nishan milte hain
dhund hi dhund hai us par kahan jaoge
ghaza-e-ishq hai taqdir-e-hawas par ai 'qamar'
toD kar zabt ki diwar kahan jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.