pher leta hai jo munh dekh ke surat meri
pher letā hai jo muñh dekh ke sūrat merī
aa.ī kyoñ TuuT ke aise pe tabī'at merī
khīñch laa.ī hai idhar un ko mohabbat merī
jazb-e-dil tū hī batā de unheñ turbat merī
muñh pe raunaq hai na vo aglī sī sūrat merī
kyā se kyā ho ga.ī ik aan meñ sūrat merī
aaj turbat pe mirī TuuT gayā haar un kā
aaj chauthī kī dulhan ban ga.ī turbat merī
baa'd marne ke huā kartī hai har chiiz kī qadr
yaad aa.egī mire baa'd mohabbat merī
vo na aate to na aate magar itnā karte
pūchh lete mire ahbāb se hālat merī
kyā huā kis kī nazar lag ga.ī hairat hai mujhe
kyoñ na baaqī rahī pahlī sī tabī'at merī
ye ḳharāba ye udāsī ye bhayānak rāteñ
sham' bhī rone lagī dekh ke turbat merī
ik na.ī tarh kā hai apne junūñ kā andāz
ik zamāne se nirālī hai tabī'at merī
talve rah rah ke khujāte haiñ ḳhudā ḳhair kare
dekheñ kyā rang nayā laatī hai vahshat merī
chādareñ chaḌhtī haiñ hai gul-badanoñ kā mela
phir ka.ī roz se gulzār hai turbat merī
terī zulfeñ to bigaḌtī bhī haiñ bantī bhī haiñ
jo bigaḌ kar na bane phir vo hai qismat merī
kūcha-gardī mirī qismat meñ likhī hai 'bismil'
baiThne degī na ab mujh ko ye vahshat merī
pher leta hai jo munh dekh ke surat meri
aai kyon TuT ke aise pe tabi'at meri
khinch lai hai idhar un ko mohabbat meri
jazb-e-dil tu hi bata de unhen turbat meri
munh pe raunaq hai na wo agli si surat meri
kya se kya ho gai ek aan mein surat meri
aaj turbat pe meri TuT gaya haar un ka
aaj chauthi ki dulhan ban gai turbat meri
ba'd marne ke hua karti hai har chiz ki qadr
yaad aaegi mere ba'd mohabbat meri
wo na aate to na aate magar itna karte
puchh lete mere ahbab se haalat meri
kya hua kis ki nazar lag gai hairat hai mujhe
kyon na baqi rahi pahli si tabi'at meri
ye KHaraba ye udasi ye bhayanak raaten
sham' bhi rone lagi dekh ke turbat meri
ek nai tarh ka hai apne junun ka andaz
ek zamane se nirali hai tabi'at meri
talwe rah rah ke khujate hain KHuda KHair kare
dekhen kya rang naya lati hai wahshat meri
chadaren chaDhti hain hai gul-badanon ka mela
phir kai roz se gulzar hai turbat meri
teri zulfen to bigaDti bhi hain banti bhi hain
jo bigaD kar na bane phir wo hai qismat meri
kucha-gardi meri qismat mein likhi hai 'bismil'
baiThne degi na ab mujh ko ye wahshat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.