phir aa gaya zaban pe wahi nam kya karen
phir aa gayā zabāñ pe vahī naam kyā kareñ
tū hī batā ai gardish-e-ayyām kyā kareñ
ik pal ko lab pe aa.ī hañsī phir palaT ga.ī
yaad aa gayā ho jaise koī kaam kyā kareñ
har aarzū ke hoñT zamāne ne sī diye
bujhne lagā charāġh sar-e-shām kyā kareñ
Dar hai ki tere haath se sāġhar na chhīn leñ
ham tishna-lab ai sāqī-e-gulfām kyā kareñ
aao musāfirān-e-adam aao ghar chaleñ
manzil hamārī duur hai ārām kyā kareñ
ruḳh par kalī ke jab paḌī tharrā ga.ī nazar
dekhā hai har bahār kā anjām kyā kareñ
'sīmāb' ham ko chain milegā na umr-bhar
ham to haiñ iztirāb meñ badnām kyā kareñ
phir aa gaya zaban pe wahi nam kya karen
tu hi bata ai gardish-e-ayyam kya karen
ek pal ko lab pe aai hansi phir palaT gai
yaad aa gaya ho jaise koi kaam kya karen
har aarzu ke honT zamane ne si diye
bujhne laga charagh sar-e-sham kya karen
Dar hai ki tere hath se saghar na chhin len
hum tishna-lab ai saqi-e-gulfam kya karen
aao musafiran-e-adam aao ghar chalen
manzil hamari dur hai aaram kya karen
ruKH par kali ke jab paDi tharra gai nazar
dekha hai har bahaar ka anjam kya karen
'simab' hum ko chain milega na umr-bhar
hum to hain iztirab mein badnam kya karen
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 178)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.