phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle
phir āgahī se yaqīñ kī taraf qadam nikle
gumān-o-vaham kī jab sarhadoñ se ham nikle
phir iztirāb kī lazzat kahāñ visāl ke baad
ḳhudā kare ki ba-vaqt-e-visāl dam nikle
maiñ sach kahūñ to mirī ḳhāmushī na kahne de
vo jhuuT bole to be-sāḳhta qasam nikle
chhupā ke ham ne rakhe but jab āstīnoñ meñ
sanam-kada bhī na phir kyoñ tah-e-haram nikle
vo kashmakash meñ rahe maslahat kī nazr hue
jo log apnī sharāfat meñ ghar se kam nikle
phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle
guman-o-waham ki jab sarhadon se hum nikle
phir iztirab ki lazzat kahan visal ke baad
KHuda kare ki ba-waqt-e-visal dam nikle
main sach kahun to meri KHamushi na kahne de
wo jhuT bole to be-saKHta qasam nikle
chhupa ke hum ne rakhe but jab aastinon mein
sanam-kada bhi na phir kyon tah-e-haram nikle
wo kashmakash mein rahe maslahat ki nazr hue
jo log apni sharafat mein ghar se kam nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.