phir aankhon se ojhal ho kar tu ne kaisa rup bhara
phir āñkhoñ se ojhal ho kar tū ne kaisā ruup bharā
chāroñ taraf be-rang havā.eñ tāroñ tak be-ant ḳhalā
lamhoñ kī mehmān thī goyā rishtoñ kī me.arāj yahāñ
vaqt se pahle sab kuchh dekhā vaqt paḌā to kuchh bhī na thā
dil ke sadaf se ubhrā motī nazroñ kā armān liye
duniyā ne aañsū kah Daalā jhaT palkoñ se TuuT girā
āvāzoñ ke is jangal meñ ḳhāmoshī kā peḌ kahāñ
sargoshī kā ruup dhaar le chhāñv meñ jis kī dil kī sadā
thaam havā kā dāman 'rāhī' aao ham bhī lāñgh chaleñ
lafzoñ ke pul bāñdh rahe haiñ koh-e-nidā se koh-e-nidā
phir aankhon se ojhal ho kar tu ne kaisa rup bhara
chaaron taraf be-rang hawaen taron tak be-ant KHala
lamhon ki mehman thi goya rishton ki mearaj yahan
waqt se pahle sab kuchh dekha waqt paDa to kuchh bhi na tha
dil ke sadaf se ubhra moti nazron ka arman liye
duniya ne aansu kah Dala jhaT palkon se TuT gira
aawazon ke is jangal mein KHamoshi ka peD kahan
sargoshi ka rup dhaar le chhanw mein jis ki dil ki sada
tham hawa ka daman 'rahi' aao hum bhi langh chalen
lafzon ke pul bandh rahe hain koh-e-nida se koh-e-nida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.