phir apna dil jalana paD raha hai
phir apnā dil jalānā paḌ rahā hai
ki pichhlā ġham purānā paḌ rahā hai
use ham se mohabbat ho ga.ī hai
hameñ us ko batānā paḌ rahā hai
jhukī nazroñ se ab jo chup khaḌe ho
kaho ab kyā chhupānā paḌ rahā hai
batāne ko jahāñ kī qadr-o-qīmat
ka.ī logoñ ko jaanā paḌ rahā hai
laḌā.ī vo ki ab apnā garebāñ
ḳhudī se ḳhud chhuḌānā paḌ rahā hai
tumhārā zikr chhiḌ jaane kā Dar hai
so bātoñ ko ghumānā paḌ rahā hai
chhupā kar dil meñ zaḳhm-e-hijr apnā
hameñ hañsnā hañsānā paḌ rahā hai
jahāñ rakh kar qadam uThnā thā ham ne
vahāñ us kā sirhānā paḌ rahā hai
mire raste ke saare jugnuoñ ko
mirī nazroñ meñ aanā paḌ rahā hai
zarā muhtāt rahnā rāste meñ
parindoñ kā Thikānā paḌ rahā hai
tire hote hue 'māham' falak ko
sitāroñ se sajānā paḌ rahā hai
phir apna dil jalana paD raha hai
ki pichhla gham purana paD raha hai
use hum se mohabbat ho gai hai
hamein us ko batana paD raha hai
jhuki nazron se ab jo chup khaDe ho
kaho ab kya chhupana paD raha hai
batane ko jahan ki qadr-o-qimat
kai logon ko jaana paD raha hai
laDai wo ki ab apna gareban
KHudi se KHud chhuDana paD raha hai
tumhaara zikr chhiD jaane ka Dar hai
so baaton ko ghumana paD raha hai
chhupa kar dil mein zaKHm-e-hijr apna
hamein hansna hansana paD raha hai
jahan rakh kar qadam uThna tha hum ne
wahan us ka sirhana paD raha hai
mere raste ke sare jugnuon ko
meri nazron mein aana paD raha hai
zara muhtat rahna raste mein
parindon ka Thikana paD raha hai
tere hote hue 'maham' falak ko
sitaron se sajaana paD raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.