phir aur kya hai agar chashmak-e-sharar nahin
phir aur kyā hai agar chashmak-e-sharār nahīñ
bashar kī ziist kā duniyā meñ e.atibār nahīñ
sunā hai ham ne mohabbat hī meñ faqat hai qarār
magar ye kyā ki mohabbat ko ḳhud qarār nahīñ
kisī kī baat kā ab kaun e.atibār kare
ye dekh kar ki kisī kā kuchh e.atibār nahīñ
gunāhgār ko ai dosto burā na kaho
nahīñ bashar vo bashar jo gunāhgār nahīñ
hamāre dil meñ haiñ kai daaġh pūchhte kyā ho
koī hisāb nahīñ hai koī shumār nahīñ
hai jab se us kā tasavvur ye haal hai ki mujhe
ḳhizāñ kā ḳhauf nahīñ ḳhvāhish-e-bahār nahīñ
phir aur kya hai agar chashmak-e-sharar nahin
bashar ki zist ka duniya mein eatibar nahin
suna hai hum ne mohabbat hi mein faqat hai qarar
magar ye kya ki mohabbat ko KHud qarar nahin
kisi ki baat ka ab kaun eatibar kare
ye dekh kar ki kisi ka kuchh eatibar nahin
gunahgar ko ai dosto bura na kaho
nahin bashar wo bashar jo gunahgar nahin
hamare dil mein hain kai dagh puchhte kya ho
koi hisab nahin hai koi shumar nahin
hai jab se us ka tasawwur ye haal hai ki mujhe
KHizan ka KHauf nahin KHwahish-e-bahaar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.