phir bahāna koī banāyā gayā
shāḳh se āshiyāñ girāyā gayā
apne āñgan meñ raushnī ke liye
zard pattoñ ko āzmāyā gayā
qurbat-e-āftāb baḌhtī ga.ī
jal uThe paañv sar se saayā gayā
dar-ba-dar kar diyā parindoñ ko
kaaT kar peḌ ghar banāyā gayā
ḳhaak ne ḳhaak tak pahuñchnā thā
umr bhar rāsta dikhāyā gayā
zindagī kab guzarne vaalī thī
naqsh dīvār par banāyā gayā
raushnī phūTne lagī 'āsim'
shiddat-e-ġham meñ gungunāyā gayā
phir bahana koi banaya gaya
shaKH se aashiyan giraya gaya
apne aangan mein raushni ke liye
zard patton ko aazmaya gaya
qurbat-e-aftab baDhti gai
jal uThe panw sar se saya gaya
dar-ba-dar kar diya parindon ko
kaT kar peD ghar banaya gaya
KHak ne KHak tak pahunchna tha
umr bhar rasta dikhaya gaya
zindagi kab guzarne wali thi
naqsh diwar par banaya gaya
raushni phuTne lagi 'asim'
shiddat-e-gham mein gungunaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.