phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin
phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
phir bahār aa.ī mire sayyād ko parvā nahīñ
uḌ ke maiñ pahuñchūñ chaman meñ kyā karūñ par vā nahīñ
jī jalā kar ek bosa māñgte haiñ baar se
aage yā qismat vo dekheñ haañ kare hai yā nahīñ
hasrat o hirmān o yaas o hairat rañj o ta.ab
kyā kahūñ is hijr meñ kyā kyā hai aur kyā kyā nahīñ
har kisī se lag chale kyā zikr hai imkān kyā
ham use pahchānte haiñ ḳhuub vo aisā nahīñ
chaar unsur kī ġhazal 'rañgīñ' kaho tum dūsrī
hai qasam tum ko alī-jī kī ye mat kahnā nahīñ
phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin
uD ke main pahunchun chaman mein kya karun par wa nahin
ji jala kar ek bosa mangte hain bar se
aage ya qismat wo dekhen han kare hai ya nahin
hasrat o hirman o yas o hairat ranj o tab
kya kahun is hijr mein kya kya hai aur kya kya nahin
har kisi se lag chale kya zikr hai imkan kya
hum use pahchante hain KHub wo aisa nahin
chaar unsur ki ghazal 'rangin' kaho tum dusri
hai qasam tum ko ali-ji ki ye mat kahna nahin
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.