phir ban-bas ka mausam aaya phir tahzib ke pankh jale
phir ban-bas ka mausam aaya phir tahzib ke pankh jale
Inder Sauroop Datt Nadan
MORE BYInder Sauroop Datt Nadan
phir ban-bās kā mausam aaya phir tahzīb ke pankh jale
phir insān kī miTTī soī phir ban-mānus jaag uThe
jaane kitnī baar ye nagrī ġham kī aag meñ bhasm huī
phir bhī is pāshān-purī ke patthar barf-samān rahe
dekh ke ye zahrīlī fasleñ kyoñ itne hairān ho tum
tum ne hī to in khetoñ meñ nāgoñ ke phan bo.e the
is ko sāñpoñ se Dasvāo is pe bhayānak vaar karo
ye nagrī bedār na hogī ik bichchhū ke kaaTe se
o sanjīvnī laane vaalo ye tāḳhīr kā vaqt nahīñ
dard kī lanka chīḳh uThī hai zaḳhmoñ ke ambār tale
ā.ī-ga.īñ kitnī tahzībeñ is dhartī ke āñchal meñ
lekin haiñ ābād abhī tak saa.e būḌhe bargad ke
'nādāñ' vaqt ke hāthoñ āḳhir ḳhaak uḌī us Tiile kī
jis par baiTh ke us jogan ne jīvan ke vardān diye
phir ban-bas ka mausam aaya phir tahzib ke pankh jale
phir insan ki miTTi soi phir ban-manus jag uThe
jaane kitni bar ye nagri gham ki aag mein bhasm hui
phir bhi is pashan-puri ke patthar barf-saman rahe
dekh ke ye zahrili faslen kyon itne hairan ho tum
tum ne hi to in kheton mein nagon ke phan boe the
is ko sanpon se Daswao is pe bhayanak war karo
ye nagri bedar na hogi ek bichchhu ke kaTe se
o sanjiwni lane walo ye taKHir ka waqt nahin
dard ki lanka chiKH uThi hai zaKHmon ke ambar tale
aai-gain kitni tahziben is dharti ke aanchal mein
lekin hain aabaad abhi tak sae buDhe bargad ke
'nadan' waqt ke hathon aaKHir KHak uDi us Tile ki
jis par baiTh ke us jogan ne jiwan ke wardan diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.