phir dabe panw darichon ke KHala se bahar
phir dabe paañv darīchoñ ke ḳhalā se bāhar
ḳhushbueñ paar utartī haiñ havā se bāhar
kitnī āsān nazar aatī haiñ band āñkhoñ se
ḳhvāhisheñ jin kī rasā.ī ho du'ā se bāhar
mere tanhā.ī ke āñgan meñ qadam rakhte hī
āhaTeñ gūñjī haiñ kānoñ meñ sadā se bāhar
sab irādoñ ko na.e ḳhauf kā ghun chaaT gayā
log phir bach ke nikal aa.e anā se bāhar
ye bhī ik hādisa guzrā hai ḳhizāñ ke hāthoñ
peḌ kā jism hai saa.e kī ridā se bāhar
phir dabe panw darichon ke KHala se bahar
KHushbuen par utarti hain hawa se bahar
kitni aasan nazar aati hain band aankhon se
KHwahishen jin ki rasai ho du'a se bahar
mere tanhai ke aangan mein qadam rakhte hi
aahaTen gunji hain kanon mein sada se bahar
sab iradon ko nae KHauf ka ghun chaT gaya
log phir bach ke nikal aae ana se bahar
ye bhi ek hadisa guzra hai KHizan ke hathon
peD ka jism hai sae ki rida se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.