phir dhyan mein biti hui yaadon ka safar hai
phir dhyān meñ biitī huī yādoñ kā safar hai
phir kūcha-e-jānāñ kī taraf dil kā guzar hai
go qaht hai sāyoñ kā yahāñ dhuup ke ban meñ
ḳhvāboñ kī ghanī chhāñv bhī āñkhoñ meñ magar hai
rūThā huā hai mausam-e-iḳhlās jahāñ bhī
chāhat kā vahīñ peḌ bhī be-barg-o-samar hai
har gaam pe kyoñ ḳhauf na ho tiira safar meñ
mahrūm ujāloñ se diloñ kā bhī nagar hai
kyā hogī tar-o-tāza koī shāḳh-e-tamannā
shādāb abhī tak vahī ik ġham kā shajar hai
phir dhyan mein biti hui yaadon ka safar hai
phir kucha-e-jaanan ki taraf dil ka guzar hai
go qaht hai sayon ka yahan dhup ke ban mein
KHwabon ki ghani chhanw bhi aankhon mein magar hai
ruTha hua hai mausam-e-iKHlas jahan bhi
chahat ka wahin peD bhi be-barg-o-samar hai
har gam pe kyon KHauf na ho tera safar mein
mahrum ujalon se dilon ka bhi nagar hai
kya hogi tar-o-taza koi shaKH-e-tamanna
shadab abhi tak wahi ek gham ka shajar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.