phir dil ke aaine mein utarne lagi ho tum
phir dil ke aa.ine meñ utarne lagī ho tum
shīshe kī dhuul uḌā ke sañvarne lagī ho tum
mere liye to pankh se halkī ho aaj bhī
kuchh log kah rahe the ki bharne lagī ho tum
ye ruup ye lachak ye chamak aur ye namak
shādī ke baa'd aur nikharne lagī ho tum
maiñ ko.ele kī tarah sulagne lagā huuñ jaan
lobān ke dhueñ sī bikharne lagī ho tum
aksar maiñ dekhtā huuñ ki shīshe ke shahr se
patthar kī pālkī meñ guzarne lagī ho tum
kis se kahūñ ki ruuh ke kāġhaz pe āj-kal
chingāriyoñ kī tarah Thaharne lagī ho tum
giilī hai merī aañkh to kyā dil ke des meñ
paanī ke rāste se utarne lagī ho tum
phir dil ke aaine mein utarne lagi ho tum
shishe ki dhul uDa ke sanwarne lagi ho tum
mere liye to pankh se halki ho aaj bhi
kuchh log kah rahe the ki bharne lagi ho tum
ye rup ye lachak ye chamak aur ye namak
shadi ke ba'd aur nikharne lagi ho tum
main koele ki tarah sulagne laga hun jaan
loban ke dhuen si bikharne lagi ho tum
aksar main dekhta hun ki shishe ke shahr se
patthar ki palki mein guzarne lagi ho tum
kis se kahun ki ruh ke kaghaz pe aaj-kal
chingariyon ki tarah Thaharne lagi ho tum
gili hai meri aankh to kya dil ke des mein
pani ke raste se utarne lagi ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.