phir ek bar tera tazkira nikal aaya
phir ek baar tirā tazkira nikal aayā
mujhe tarāshā to paikar tirā nikal aayā
ye mere ghar ke darīchoñ meñ raushnī kaisī
yahāñ charāġh kā kyā silsila nikal aayā
jo naqsh naqsh asīrī kā sehr jānte the
un ā.inoñ se bhī saayā mirā nikal aayā
maiñ apne shor meñ kab tak dabā huā rahtā
sadā.eñ detā huā be-sadā nikal aayā
lipaT ke rotā rahā vo bujhe charāġhoñ se
ki taaq taaq koī silsila nikal aayā
diyā thā jis ko zamāne ne tere qurb kā naam
mire hī qadmoñ se vo fāsla nikal aayā
phir ek bar tera tazkira nikal aaya
mujhe tarasha to paikar tera nikal aaya
ye mere ghar ke darichon mein raushni kaisi
yahan charagh ka kya silsila nikal aaya
jo naqsh naqsh asiri ka sehr jaante the
un aainon se bhi saya mera nikal aaya
main apne shor mein kab tak daba hua rahta
sadaen deta hua be-sada nikal aaya
lipaT ke rota raha wo bujhe charaghon se
ki taq taq koi silsila nikal aaya
diya tha jis ko zamane ne tere qurb ka nam
mere hi qadmon se wo fasla nikal aaya
- Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 7)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.