phir faza KHush-gawar aa jae
phir fazā ḳhush-gavār aa jaa.e
hāsil-e-intizār aa jaa.e
dil kī uljhan ko baḳhsh de jo sukūñ
vaqt vo ḳhush-gavār aa jaa.e
gesuoñ kī jo tere chhāoñ mile
mere dil ko qarār aa jaa.e
vo agar mere paas se guzre
zindagī meñ bahār aa jaa.e
naam vo kyoñ rahe na charche meñ
lab pe jo baar baar aa jaa.e
jab 'hasan' 'ishq kā charāġh jale
shā'irī kā shi'ār aa jaa.e
phir faza KHush-gawar aa jae
hasil-e-intizar aa jae
dil ki uljhan ko baKHsh de jo sukun
waqt wo KHush-gawar aa jae
gesuon ki jo tere chhaon mile
mere dil ko qarar aa jae
wo agar mere pas se guzre
zindagi mein bahaar aa jae
nam wo kyon rahe na charche mein
lab pe jo bar bar aa jae
jab 'hasan' 'ishq ka charagh jale
sha'iri ka shi'ar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.