phir fikr-e-suKHan main kar raha hun
phir fikr-e-suḳhan maiñ kar rahā huuñ
aflāk se maiñ guzar rahā huuñ
lafzoñ ke khilā rahā huuñ ġhunche
zulmat meñ sitāre bhar rahā huuñ
ye shams-o-qamar haiñ dekhe-bhāle
in sab kā maiñ ham-safar rahā huuñ
miTTī se janam janam kā rishta
dhartī kā siñgār kar rahā huuñ
jannat mirī fikr kī hai me.arāj
dozaḳh se to maiñ guzar rahā huuñ
duniyā ke qasīde maiñ ne likhe
bas apnā hī nauhagar rahā huuñ
sab kī hai ḳhabar 'sarosh' lekin
maiñ ḳhud se hī be-ḳhabar rahā huuñ
phir fikr-e-suKHan main kar raha hun
aflak se main guzar raha hun
lafzon ke khila raha hun ghunche
zulmat mein sitare bhar raha hun
ye shams-o-qamar hain dekhe-bhaale
in sab ka main ham-safar raha hun
miTTi se janam janam ka rishta
dharti ka singar kar raha hun
jannat meri fikr ki hai mearaj
dozaKH se to main guzar raha hun
duniya ke qaside main ne likhe
bas apna hi nauhagar raha hun
sab ki hai KHabar 'sarosh' lekin
main KHud se hi be-KHabar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.