phir ghaalib ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen
phir ghaalib ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen
Kanwal Pradeep Mahajan
MORE BYKanwal Pradeep Mahajan
phir 'ġhālib' ko yaad kareñ phir dīda-e-tar kī baat kareñ
dil kī jigar kī baat kareñ phir saudā-e-sar kī baat kareñ
jab Tapkā thā ḳhūn-e-shahīdāñ jab mahkī thī arz-e-vatan
aao hamdam us lamhe kī us manzar kī baat kareñ
qātil to qātil Thahrā us ne jo kiyā so karnā thā
chārāgar ne kyoñ muñh pherā chārāgar kī baat kareñ
apne aap ko bhī pahchāneñ ḳhud se ta'āruf bhī kar leñ
apnī jin ko saar nahīñ vo duniyā-bhar kī baat kareñ
shab to 'kañval' har haal meñ hī kaT jaanī hai kaT jā.egī
kyoñ uljheñ tārīkī se phir kyoñ na sahar kī baat kareñ
phir 'ghaalib' ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen
dil ki jigar ki baat karen phir sauda-e-sar ki baat karen
jab Tapka tha KHun-e-shahidan jab mahki thi arz-e-watan
aao hamdam us lamhe ki us manzar ki baat karen
qatil to qatil Thahra us ne jo kiya so karna tha
chaaragar ne kyon munh phera chaaragar ki baat karen
apne aap ko bhi pahchanen KHud se ta'aruf bhi kar len
apni jin ko sar nahin wo duniya-bhar ki baat karen
shab to 'kanwal' har haal mein hi kaT jaani hai kaT jaegi
kyon uljhen tariki se phir kyon na sahar ki baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.