phir gaya aaj koi ahd-e-wafa se kaise
phir gayā aaj koī ahd-e-vafā se kaise
ham ne māñgā thā use apne ḳhudā se kaise
tishnagī ne koī ehsān gavārā na kiyā
ham rahe aa ke samundar pe bhī pyāse kaise
ham to jalte rahe āñdhī meñ bhī kal tak logo
bujh ga.e aaj magar narm havā se kaise
tere ehsās ko paikar meñ mujassam kar ke
dekhte haiñ tujhe dīdār ke pyāse kaise
ishq kar detā hai majbūr kahāñ tak dil ko
bach sakegā koī ab apnī anā se kaise
phir gaya aaj koi ahd-e-wafa se kaise
hum ne manga tha use apne KHuda se kaise
tishnagi ne koi ehsan gawara na kiya
hum rahe aa ke samundar pe bhi pyase kaise
hum to jalte rahe aandhi mein bhi kal tak logo
bujh gae aaj magar narm hawa se kaise
tere ehsas ko paikar mein mujassam kar ke
dekhte hain tujhe didar ke pyase kaise
ishq kar deta hai majbur kahan tak dil ko
bach sakega koi ab apni ana se kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.