phir girani ki hai yalghaar KHuda KHair kare
phir girānī kī hai yalġhār ḳhudā ḳhair kare
baḌh ga.ī garmī-e-bāzār ḳhudā ḳhair kare
tang aa jā.eñge muflis to yaqīnan ik din
hoñge phir barsar-e-paikār ḳhudā ḳhair kare
kal talak jis ko na thā baat bhī karne kā shu.ūr
ab hai vo sāhab-e-guftār ḳhudā ḳhair kare
aaj phir luT ga.ī ismat kisī doshīza kī
surḳh hai surḳhi-e-aḳhbār ḳhudā ḳhair kare
jis ke dam se hameñ āzādī mayassar aa.ī
vo zabāñ ho ga.ī lāchār ḳhudā ḳhair kare
intiḳhābāt kā elaan huā hai jab se
hosh kho baiThe haiñ ashrār ḳhudā ḳhair kare
jin kī izzat thī baḌī mulk ke netāoñ meñ
vo bhī nikle haiñ siyahkār ḳhudā ḳhair kare
ham ko matlūb the 'bedār' vafādār magar
ham pe haavī haiñ riyā-kār ḳhudā ḳhair kare
phir girani ki hai yalghaar KHuda KHair kare
baDh gai garmi-e-bazar KHuda KHair kare
tang aa jaenge muflis to yaqinan ek din
honge phir barsar-e-paikar KHuda KHair kare
kal talak jis ko na tha baat bhi karne ka shuur
ab hai wo sahab-e-guftar KHuda KHair kare
aaj phir luT gai ismat kisi doshiza ki
surKH hai surKHi-e-aKHbar KHuda KHair kare
jis ke dam se hamein aazadi mayassar aai
wo zaban ho gai lachaar KHuda KHair kare
intiKHabaat ka elan hua hai jab se
hosh kho baiThe hain ashrar KHuda KHair kare
jin ki izzat thi baDi mulk ke netaon mein
wo bhi nikle hain siyahkar KHuda KHair kare
hum ko matlub the 'bedar' wafadar magar
hum pe hawi hain riya-kar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.