phir gudaz-e-ishq se jalne lage dagh-e-nihan
phir gudāz-e-ishq se jalne lage dāġh-e-nihāñ
aaj phir jashn-e-charāġhāñ hai bayād-e-dil-barāñ
raat yuuñ rah-rah ke dil meñ terī yaad aatī rahī
der tak uThtā rahā jaise charāġhoñ se dhuāñ
duur sang-o-ḳhisht meñ hai zindagī kī aarzū
pattharoñ ke shahr meñ ho jaise shīshe kā makāñ
mahv-e-hairat huuñ ye maiḳhāne meñ kaisā daur hai
jām-e-mai bhī ḳhūñ-chakāñ aur zindagī bhī ḳhūñ-chakāñ
bandisheñ qānūn zulm-o-jaur maz.hab sīm-o-zar
kitnī dīvāreñ haiñ haa.il do diloñ ke darmiyāñ
zindagī kī saḳhtiyoñ se ham na āzurda hue
dil ko ghāyal kar ga.iiñ lekin nigah kī narmiyāñ
phir gudaz-e-ishq se jalne lage dagh-e-nihan
aaj phir jashn-e-charaghan hai bayaad-e-dil-baran
raat yun rah-rah ke dil mein teri yaad aati rahi
der tak uThta raha jaise charaghon se dhuan
dur sang-o-KHisht mein hai zindagi ki aarzu
pattharon ke shahr mein ho jaise shishe ka makan
mahw-e-hairat hun ye maiKHane mein kaisa daur hai
jam-e-mai bhi KHun-chakan aur zindagi bhi KHun-chakan
bandishen qanun zulm-o-jaur mazhab sim-o-zar
kitni diwaren hain hail do dilon ke darmiyan
zindagi ki saKHtiyon se hum na aazurda hue
dil ko ghayal kar gain lekin nigah ki narmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.