phir gulab ki shaKHen saj gain qarinon se
phir gulāb kī shāḳheñ saj ga.iiñ qarīnoñ se
aap bhī utar aa.eñ chāñdnī ke zīnoñ se
apnī pāk-bāzī kā phir subūt de lenā
tum lahū to dho Daalo pahle āstīnoñ se
dushmanoñ ke ḳhemoñ meñ khul ke jā.iye sāhab
haañ magar bache rahiye ḳhush-adā hasīnoñ se
un ke āriz-o-lab ko chāñd se na do tashbīh
pattharoñ ko kyā nisbat qīmtī nagīnoñ se
koī un ko jā kar ye iltimās pahuñchā de
aap ko nahīñ dekhā DeḌh-do mahīnoñ se
ḳhush-libās maujoñ ne pairahan badal Daale
aap bhī zarā lañgar kholiye safīnoñ se
mā-sivā-e-mahrūmī aur kuchh nahīñ paayā
āqiloñ kī bastī meñ mil liye zahīnoñ se
phir gulab ki shaKHen saj gain qarinon se
aap bhi utar aaen chandni ke zinon se
apni pak-bazi ka phir subut de lena
tum lahu to dho Dalo pahle aastinon se
dushmanon ke KHemon mein khul ke jaiye sahab
han magar bache rahiye KHush-ada hasinon se
un ke aariz-o-lab ko chand se na do tashbih
pattharon ko kya nisbat qimti naginon se
koi un ko ja kar ye iltimas pahuncha de
aap ko nahin dekha DeDh-do mahinon se
KHush-libas maujon ne pairahan badal Dale
aap bhi zara langar kholiye safinon se
ma-siwa-e-mahrumi aur kuchh nahin paya
aaqilon ki basti mein mil liye zahinon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.