phir hara hone ki KHwahish ka irada sukhe
phir harā hone kī ḳhvāhish kā irāda sūkhe
kyoñ bhalā sūkhā huā peḌ dubāra sūkhe
merī chāhat hai ki gahrā.ī se nikleñ aañsū
merī koshish hai ziyāda se ziyāda sūkhe
vo tumhāre liye ik baat thī par mere liye
dariyā sūkhā hai agar ek bhī qatra sūkhe
chāhiye phuul ko ik phuul koī maalī nahīñ
ham-safar to vo hai jo saath ikaTThā sūkhe
maiñ nahīñ chāhtā huuñ ab ki mirī pyaas miTe
maiñ nahīñ chāhtā ab pyaas kā dariyā sūkhe
mat karo zikr ki barsāt nahīñ hotī ab
maiñ nahīñ chāhtā tasvīr meñ jharnā sūkhe
phir hara hone ki KHwahish ka irada sukhe
kyon bhala sukha hua peD dubara sukhe
meri chahat hai ki gahrai se niklen aansu
meri koshish hai ziyaada se ziyaada sukhe
wo tumhaare liye ek baat thi par mere liye
dariya sukha hai agar ek bhi qatra sukhe
chahiye phul ko ek phul koi mali nahin
ham-safar to wo hai jo sath ikaTTha sukhe
main nahin chahta hun ab ki meri pyas miTe
main nahin chahta ab pyas ka dariya sukhe
mat karo zikr ki barsat nahin hoti ab
main nahin chahta taswir mein jharna sukhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.