phir hujum-e-hawas o aalam-e-tanhai hai
phir hujūm-e-havas o ālam-e-tanhā.ī hai
phir vahī silsila-e-anjuman-ārā.ī hai
rahm kar ai havas-e-lazzat-e-āzār na chheḌ
dil-e-bīmār ne mar mar ke shifā paa.ī hai
daad leñ kis se tirī diid kī ai husn-e-nigār
ḳhud tamāshā tire jalve kā tamāshā.ī hai
dekh to chal ke shahīdān-e-vafā kā aalam
ḳhuun zaḳhmoñ se nikaltā hai bahār aa.ī hai
phir vahī dast-o-garebān haiñ vahī josh-e-junūñ
phir vahī yaad vahī bādiya-paimā.ī hai
ḳhud mirī sub.h sunā degī unheñ haal mirā
mirā ḳhāmosh hī rahnā mirī goyā.ī hai
dil-pasand-e-nigah-e-nāz-e-butāñ hai 'taufīq'
ain but-ḳhāne meñ ka.abe ne jagah paa.ī hai
phir hujum-e-hawas o aalam-e-tanhai hai
phir wahi silsila-e-anjuman-arai hai
rahm kar ai hawas-e-lazzat-e-azar na chheD
dil-e-bimar ne mar mar ke shifa pai hai
dad len kis se teri did ki ai husn-e-nigar
KHud tamasha tere jalwe ka tamashai hai
dekh to chal ke shahidan-e-wafa ka aalam
KHun zaKHmon se nikalta hai bahaar aai hai
phir wahi dast-o-gareban hain wahi josh-e-junun
phir wahi yaad wahi baadiya-paimai hai
KHud meri subh suna degi unhen haal mera
mera KHamosh hi rahna meri goyai hai
dil-pasand-e-nigah-e-naz-e-butan hai 'taufiq'
ain but-KHane mein kabe ne jagah pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.