phir ek nai KHalish ki shuruat ho gai
phir ik na.ī ḳhalish kī shurūāt ho ga.ī
dil jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
kyā merī un kī baat huī ye na pūchhiye
ab kyā batā.ūñ ho ga.ī jo baat ho ga.ī
vo muskurā ke ek nazar mujh ko dekh leñ
ye baat ho ga.ī to baḌī baat ho ga.ī
ham rah-ravān-e-shauq kī manzil na pūchhiye
din ho gayā kahīñ to kahīñ raat ho ga.ī
dāman jo tar huā to 'ziyā' yuuñ lagā mujhe
jaise koī ghaTā uThī barsāt ho ga.ī
phir ek nai KHalish ki shuruat ho gai
dil jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
kya meri un ki baat hui ye na puchhiye
ab kya bataun ho gai jo baat ho gai
wo muskura ke ek nazar mujh ko dekh len
ye baat ho gai to baDi baat ho gai
hum rah-rawan-e-shauq ki manzil na puchhiye
din ho gaya kahin to kahin raat ho gai
daman jo tar hua to 'ziya' yun laga mujhe
jaise koi ghaTa uThi barsat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.