phir is ke baad to tanhaiyon ke bich mein hain
phir is ke ba.ad to tanhā.iyoñ ke biich meñ haiñ
ki ġham kī TūTtī añgḌā.iyoñ ke biich meñ haiñ
ye shādyāne faqat sarḳhushī kā naam nahīñ
kisī kī chīḳheñ bhī shahnā.iyoñ ke biich meñ haiñ
hameñ to ḳhauf sā lāhaq hai TuuT jaane kā
ta.alluqāt jo gahrā.iyoñ ke biich meñ haiñ
ye jā.edād ye māl-o-matā'-o-mīrāseñ
fasād inhī pe mire bhā.iyoñ ke biich meñ haiñ
hamārā dard bhī ik sochne kā zāviya ek
ajiib naate ye sahrā.iyoñ ke biich meñ haiñ
kisī ko auj-e-surayyā pe le chale the magar
sila milā hai yahī khā.iyoñ ke biich meñ haiñ
ye dil kā shīsha to TukḌoñ meñ baT chukā kab kā
abhī talak terī ra.anā.iyoñ ke biich meñ haiñ
vafā hai kyā yahāñ mafhūm kis ko samjhā.eñ
yahī to dukh hai ki harjā.iyoñ ke biich meñ haiñ
bajā ye baat ki lāzim hai zabt 'hasrat' jī
magar ye āñkheñ ki purvā.iyoñ ke biich meñ haiñ
phir is ke baad to tanhaiyon ke bich mein hain
ki gham ki TuTti angDaiyon ke bich mein hain
ye shadyane faqat sarKHushi ka nam nahin
kisi ki chiKHen bhi shahnaiyon ke bich mein hain
hamein to KHauf sa lahaq hai TuT jaane ka
talluqat jo gahraiyon ke bich mein hain
ye jaedad ye mal-o-mata'-o-mirasen
fasad inhi pe mere bhaiyon ke bich mein hain
hamara dard bhi ek sochne ka zawiya ek
ajib nate ye sahraiyon ke bich mein hain
kisi ko auj-e-surayya pe le chale the magar
sila mila hai yahi khaiyon ke bich mein hain
ye dil ka shisha to TukDon mein baT chuka kab ka
abhi talak teri ranaiyon ke bich mein hain
wafa hai kya yahan mafhum kis ko samjhaen
yahi to dukh hai ki harjaiyon ke bich mein hain
baja ye baat ki lazim hai zabt 'hasrat' ji
magar ye aankhen ki purwaiyon ke bich mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.