phir juda hone ka manzar aa gaya hai
phir judā hone kā manzar aa gayā hai
aur shab-e-hijrāñ mirā ghar aa gayā hai
shahr meñ phir barf-bārī ho rahī hai
aa bhī jaao ab december aa gayā hai
sūliyāñ sunsān hotī jā rahī thiiñ
daar kī ḳhātir mirā sar aa gayā hai
kyā kahūñ kyoñ tere andar aa gayā huuñ
chaar dīvārī tirā dar aa gayā hai
merī uñglī ko pakaḌ kar merā bachcha
mere qāmat ke barābar aa gayā hai
bhar ga.ī hai shahd kī muñh meñ miThās
naam ye kis kā laboñ par aa gayā hai
phir juda hone ka manzar aa gaya hai
aur shab-e-hijran mera ghar aa gaya hai
shahr mein phir barf-bari ho rahi hai
aa bhi jao ab december aa gaya hai
suliyan sunsan hoti ja rahi thin
dar ki KHatir mera sar aa gaya hai
kya kahun kyon tere andar aa gaya hun
chaar diwari tera dar aa gaya hai
meri ungli ko pakaD kar mera bachcha
mere qamat ke barabar aa gaya hai
bhar gai hai shahd ki munh mein miThas
nam ye kis ka labon par aa gaya hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 298)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.