phir kaenat-e-yaad pe lahra gai hain wo
Interesting Fact
(A charming memory of Lahore)
phir kā.enāt-e-yād pe lahrā ga.ī haiñ vo
siine meñ ek aag sī sulgā ga.ī haiñ vo
allāh re chashm-e-shoḳh kā nazzāra-e-hasīñ
dil meñ nazar ke saath hī ḳhud aa ga.ī haiñ vo
ai ārzū-e-dīd nigāhoñ kā kyā qusūr
uThte hī un ke baam pe sharmā ga.ī haiñ vo
aa.egā phir se aañkh meñ sāvan shabāb par
lahore se sunā hai ki uktā ga.ī haiñ vo
rotī hai aarzū mirī siine pe rakh ke haath
shāyad nazar ke tiir se barmā ga.ī haiñ vo
'altāf' aa rahī thiiñ uThā.e hue naqāb
paate hī mujh ko raah meñ ghabrā ga.ī haiñ vo
phir kaenat-e-yaad pe lahra gai hain wo
sine mein ek aag si sulga gai hain wo
allah re chashm-e-shoKH ka nazzara-e-hasin
dil mein nazar ke sath hi KHud aa gai hain wo
ai aarzu-e-did nigahon ka kya qusur
uThte hi un ke baam pe sharma gai hain wo
aaega phir se aankh mein sawan shabab par
lahore se suna hai ki ukta gai hain wo
roti hai aarzu meri sine pe rakh ke hath
shayad nazar ke tir se barma gai hain wo
'altaf' aa rahi thin uThae hue naqab
pate hi mujh ko rah mein ghabra gai hain wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.