phir kabhi ye KHata nahin karna
phir kabhī ye ḳhatā nahīñ karnā
sab se hañs kar milā nahīñ karnā
tum mire vāste kabhī ai dost
zindagī kī du'ā nahīñ karnā
dar-o-dīvār bhī rulāte haiñ
ghar meñ tanhā rahā nahīñ karnā
dil kī tasvīr ḳhat meñ rakh denā
baat dil kī likhā nahīñ karnā
maiñ huuñ insāñ bahak bhī saktā huuñ
mujh se tanhā milā nahīñ karnā
apnī had meñ rahā karo 'firdaus'
had se aage baḌhā nahīñ karnā
phir kabhi ye KHata nahin karna
sab se hans kar mila nahin karna
tum mere waste kabhi ai dost
zindagi ki du'a nahin karna
dar-o-diwar bhi rulate hain
ghar mein tanha raha nahin karna
dil ki taswir KHat mein rakh dena
baat dil ki likha nahin karna
main hun insan bahak bhi sakta hun
mujh se tanha mila nahin karna
apni had mein raha karo 'firdaus'
had se aage baDha nahin karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.