phir kai din zikr us ka qadr-danon mein raha
phir ka.ī din zikr us kā qadr-dānoñ meñ rahā
ek chehra jo ka.ī ā.īna-ḳhānoñ meñ rahā
nit-na.e mazmūn kuchh achchhī zamīnoñ kī talāsh
ye sarāb-e-fan ġhazal ke ham kisānoñ meñ rahā
roz taaza phuul milte the vahāñ pe is liye
titliyoñ kā ānā-jānā un dukānoñ meñ rahā
qabza kar ke baiThā hai dil ke makāñ pe āj-kal
zindagī-bhar jo kirā.e ke makānoñ meñ rahā
maiñ zamīñ pe baiTh ke kahtā rahā ġhazloñ ke sher
aur mirā husn-e-taḳhayyul āsmānoñ meñ rahā
har qadam pe zindagī kartī rahī mujh se savāl
umr-bhar maiñ zindagī ke imtihānoñ meñ rahā
ab ke 'dilbar' apnī ḳhāmoshī se sab kuchh kah gayā
maiñ zabāñ rakhte hue bhī be-zabānoñ meñ rahā
phir kai din zikr us ka qadr-danon mein raha
ek chehra jo kai aaina-KHanon mein raha
nit-nae mazmun kuchh achchhi zaminon ki talash
ye sarab-e-fan ghazal ke hum kisanon mein raha
roz taza phul milte the wahan pe is liye
titliyon ka aana-jaana un dukanon mein raha
qabza kar ke baiTha hai dil ke makan pe aaj-kal
zindagi-bhar jo kirae ke makanon mein raha
main zamin pe baiTh ke kahta raha ghazlon ke sher
aur mera husn-e-taKHayyul aasmanon mein raha
har qadam pe zindagi karti rahi mujh se sawal
umr-bhar main zindagi ke imtihanon mein raha
ab ke 'dilbar' apni KHamoshi se sab kuchh kah gaya
main zaban rakhte hue bhi be-zabanon mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.