phir KHun mein wahshat raqsan hai tajdid sitam karne ke liye
phir KHun mein wahshat raqsan hai tajdid sitam karne ke liye
Irfan Sattar
MORE BYIrfan Sattar
phir ḳhuun meñ vahshat raqsāñ hai tajdīd sitam karne ke liye
ik taaza zaḳhm kī ḳhvāhish hai ik sadma kam karne ke liye
ham din-bhar duniyā-dārī meñ hañs hañs ke bāteñ karte haiñ
phir saarī raat pighalte haiñ ik ashk raqam karne ke liye
vo vasl ki jis ne ham donoñ ko yaksar be-buniyād kiyā
ab fursat hai aa mil baiTheñ us vasl kā ġham karne ke liye
ik kaarī zaḳhm kī chāhat ne kyā kyā na hameñ gulzār kiyā
ham kis kis se mansūb hue ik hijr baham karne ke liye
insān ke jiine marne ke majbūrī ke muḳhtārī ke
ye saare khel zarūrī haiñ ta.amīr adam karne ke liye
phir KHun mein wahshat raqsan hai tajdid sitam karne ke liye
ek taza zaKHm ki KHwahish hai ek sadma kam karne ke liye
hum din-bhar duniya-dari mein hans hans ke baaten karte hain
phir sari raat pighalte hain ek ashk raqam karne ke liye
wo wasl ki jis ne hum donon ko yaksar be-buniyaad kiya
ab fursat hai aa mil baiThen us wasl ka gham karne ke liye
ek kari zaKHm ki chahat ne kya kya na hamein gulzar kiya
hum kis kis se mansub hue ek hijr baham karne ke liye
insan ke jine marne ke majburi ke muKHtari ke
ye sare khel zaruri hain tamir adam karne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.